sar juDa saya juDa us dur ki diwar se
sar juḌā saaya juḌā us duur kī dīvār se
āḳhirī darvāza niklā āḳhrī dīvār se
tab to ye dīvār ūñchī thī ki jab bārish girī
phir maiñ ūñchā ho gayā is Dūbtī dīvār se
ye jo dil siine meñ hai jo ḳhvāb rozīne meñ hai
jaise koī lag ke baiThā ho tirī dīvār se
shahr kā āġhāz thā aur shahr hī miltā na thā
maiñ ulajh kar gir paḌā ik malgajī dīvār se
mil milā kar 'ishq kā ik tajraba sābit kiyā
kuchh namī dil meñ se niklī kuchh namī dīvār se
dāman achchhā thā ki ye sab daaġh achchhe haiñ batāo
kyoñ juḌe baiThe ho is miTTī bharī dīvār se
yuuñ milā diije hameñ jaise milā detī hai shaam
vaqt kī dīvār ko be-vaqt kī dīvār se
ek iiñT aur ek raḳhna ek raḳhna ek iiñT
chhāñv bhī dīvār se hai dhuup bhī dīvār se
sar juDa saya juDa us dur ki diwar se
aaKHiri darwaza nikla aaKHri diwar se
tab to ye diwar unchi thi ki jab barish giri
phir main uncha ho gaya is Dubti diwar se
ye jo dil sine mein hai jo KHwab rozine mein hai
jaise koi lag ke baiTha ho teri diwar se
shahr ka aaghaz tha aur shahr hi milta na tha
main ulajh kar gir paDa ek malgaji diwar se
mil mila kar 'ishq ka ek tajraba sabit kiya
kuchh nami dil mein se nikli kuchh nami diwar se
daman achchha tha ki ye sab dagh achchhe hain batao
kyon juDe baiThe ho is miTTi bhari diwar se
yun mila dije hamein jaise mila deti hai sham
waqt ki diwar ko be-waqt ki diwar se
ek inT aur ek raKHna ek raKHna ek inT
chhanw bhi diwar se hai dhup bhi diwar se
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 85)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.