Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar kaT ke kar dijiye qatil ke hawale

Haidar Ali Aatish

sar kaT ke kar dijiye qatil ke hawale

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    sar kaaT ke kar dījiye qātil ke havāle

    himmat mirī kahtī hai ki ehsān-e-balā le

    har qatra-e-ḳhūñ soz-e-darūñ se hai ik aḳhgar

    jallād talvār meñ paḌ jā.eñge chhāle

    nādān na ho aql atā hai ḳhudā ne

    yūsuf tarah tum ko koī bech na Daale

    hastī asīrī se sharar se haiñ sivā tañg

    chhūTe to idhar phir ke nahīñ dekhne vaale

    sālik ko yahī jaade se āvāz hai aatī

    pāmāl jo ho raah vo manzil nikāle

    sayyād chaman meñ kare murġh-e-chaman zab.h

    labrez lahū se daraḳhtoñ ke hoñ thāle

    sar kaT ke kar dijiye qatil ke hawale

    himmat meri kahti hai ki ehsan-e-bala le

    har qatra-e-KHun soz-e-darun se hai ek aKHgar

    jallad ki talwar mein paD jaenge chhaale

    nadan na ho aql ata ki hai KHuda ne

    yusuf ki tarah tum ko koi bech na Dale

    hasti ki asiri se sharar se hain siwa tang

    chhuTe to idhar phir ke nahin dekhne wale

    salik ko yahi jade se aawaz hai aati

    pamal jo ho rah wo manzil ki nikale

    sayyaad chaman hi mein kare murgh-e-chaman zabh

    labrez lahu se hi daraKHton ke hon thaale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now