Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain

Kalb-e-husain Nadir

sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain

Kalb-e-husain Nadir

MORE BYKalb-e-husain Nadir

    sar kaTā kar sifat-e-sham.a jo mar jaate haiñ

    naam raushan vahī āfāq meñ kar jaate haiñ

    lākhoñ ḳhuun bahā.enge vo jab hoñge javāñ

    jo laḌakpan meñ lahū dekh ke Dar jaate haiñ

    jumbish-e-teġh-e-nigah nahīñ hājat aslan

    kaam merā vo ishāroñ meñ kar jaate haiñ

    un ko ushshāq ke dil nahīñ hai taḳhsīs

    koī shīsha ho parī ban ke utar jaate haiñ

    barq tarah se betāb jo haiñ ai 'nādir'

    tār-ghar kis vo lene ko ḳhabar jaate haiñ

    sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain

    nam raushan wahi aafaq mein kar jate hain

    lakhon ka KHun bahaenge wo jab honge jawan

    jo laDakpan mein lahu dekh ke Dar jate hain

    jumbish-e-tegh-e-nigah ki nahin hajat aslan

    kaam mera wo ishaaron hi mein kar jate hain

    un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai taKHsis

    koi shisha ho pari ban ke utar jate hain

    barq ki tarah se betab jo hain ai 'nadir'

    tar-ghar kis ki wo lene ko KHabar jate hain

    Source:

    Intikhab-e-Sukhan(Volume-009) (Pg. e-245 p-244)

      • Edition: 1983
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now