sar mein sauda nazar aata hai KHuda KHair kare
sar mein sauda nazar aata hai KHuda KHair kare
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
sar meñ saudā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
ghar bhī sahrā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
aaj bigḌe hue tevar haiñ kuchh un ke yaaro
ham ko kyā kyā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
hai balā-ḳhez phir ik baar tamavvuj dil meñ
ḳhuuñ barastā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
ham se kahte ho añdheroñ ko ujāle samjho
shab-paro kyā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
aaj kyā un ke tasavvur meñ baheñge phir ashk
ġham kā dariyā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
thā jigar tishna-e-faryād to dam ghuTtā thā
dil bhī pyāsā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
sāmne the to nazar ruḳh se nahīñ haTtī thī
ab to pardā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
chhūT thī jalva-e-paiham kī to andher sā thā
ab añdherā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
ham ko in sar-ba-falak qasr-o-imārāt ke gird
ġham kā Derā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
‘naqvī’-e-tishna-jigar kī bhī bujhegī kabhī pyaas
ab to martā nazar aatā hai ḳhudā ḳhair kare
sar mein sauda nazar aata hai KHuda KHair kare
ghar bhi sahra nazar aata hai KHuda KHair kare
aaj bigDe hue tewar hain kuchh un ke yaro
hum ko kya kya nazar aata hai KHuda KHair kare
hai bala-KHez phir ek bar tamawwuj dil mein
KHun barasta nazar aata hai KHuda KHair kare
hum se kahte ho andheron ko ujale samjho
shab-paro kya nazar aata hai KHuda KHair kare
aaj kya un ke tasawwur mein bahenge phir ashk
gham ka dariya nazar aata hai KHuda KHair kare
tha jigar tishna-e-faryaad to dam ghuTta tha
dil bhi pyasa nazar aata hai KHuda KHair kare
samne the to nazar ruKH se nahin haTti thi
ab to parda nazar aata hai KHuda KHair kare
chhuT thi jalwa-e-paiham ki to andher sa tha
ab andhera nazar aata hai KHuda KHair kare
hum ko in sar-ba-falak qasr-o-imaraat ke gird
gham ka Dera nazar aata hai KHuda KHair kare
‘naqwi’-e-tishna-jigar ki bhi bujhegi kabhi pyas
ab to marta nazar aata hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.