Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin

Kausar Tasniim Supauli

sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin

Kausar Tasniim Supauli

MORE BYKausar Tasniim Supauli

    sar pe mere bhī thī dastār-e-fazīlat lekin

    mujh ko hāsil thī mire rab ma.iyyat lekin

    ishq aaya to maiñ pāband nahīñ rah paayā

    ishq se qabl thā pāband-e-sharī.at lekin

    bevafā hogī tire ḳhuun harakat sāhab

    ham ko hai hind ke zarre se aqīdat lekin

    merī ġhazloñ meñ hai shāhīn mahaz ik chiḌiyā

    ab bhī ik raaz hai shāhīñ haqīqat lekin

    hai sadāqat ki hai kashmīr zamīñ jannat

    ahl-e-kashmīr ko miltī hai aziyyat lekin

    muntazir paak rāheñ thiiñ qadam-bosī ko

    ham ne bhārat ko samjhā thā ġhanīmat lekin

    shar-pasandoñ ko na raas aaya vatan dastūr

    dar-haqīqat hai mire mulk zīnat lekin

    chāhtā hai ki kare sher-o-suḳhan se tauba

    us se 'tasnīm' miltī hai tabī.at lekin

    sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin

    mujh ko hasil thi mere rab ki maiyyat lekin

    ishq aaya to main paband nahin rah paya

    ishq se qabl tha paband-e-shariat lekin

    bewafa hogi tere KHun ki harakat sahab

    hum ko hai hind ke zarre se aqidat lekin

    meri ghazlon mein hai shahin mahaz ek chiDiya

    ab bhi ek raaz hai shahin ki haqiqat lekin

    hai sadaqat ki hai kashmir zamin ki jannat

    ahl-e-kashmir ko milti hai aziyyat lekin

    muntazir pak ki rahen thin qadam-bosi ko

    hum ne bhaarat ko hi samjha tha ghanimat lekin

    shar-pasandon ko na ras aaya watan ka dastur

    dar-haqiqat hai mere mulk ki zinat lekin

    chahta hai ki kare sher-o-suKHan se tauba

    us se 'tasnim' ki milti hai tabiat lekin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now