sar-rishta-e-majaz mein gundhi gai hai KHak
sar-rishta-e-majāz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
asrār-e-dil-navāz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
ḳhushbū sī phūTtī hai chamaktā hai nuur sā
shāyad kisī ke naaz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
ik naġhma-e-kuhan sā tarannum se āshkār
ik dil-pazīr saaz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
jaadū samā'atoñ meñ utartā hai jā-ba-jā
harf-e-suḳhan-tarāz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
ik rabt-e-nā-shanās meñ gūñdhā gayā vujūd
ik parda-e-niyāz meñ gūñdhī ga.ī hai ḳhaak
sar-rishta-e-majaz mein gundhi gai hai KHak
asrar-e-dil-nawaz mein gundhi gai hai KHak
KHushbu si phuTti hai chamakta hai nur sa
shayad kisi ke naz mein gundhi gai hai KHak
ek naghma-e-kuhan sa tarannum se aashkar
ek dil-pazir saz mein gundhi gai hai KHak
jadu sama'aton mein utarta hai ja-ba-ja
harf-e-suKHan-taraaz mein gundhi gai hai KHak
ek rabt-e-na-shanas mein gundha gaya wujud
ek parda-e-niyaz mein gundhi gai hai KHak
- Book : Ishq (Pg. 105)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.