Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi

Mohsin Asrar

sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    sar uThāyā ishq ne to choT ik bhārī paḌī

    ke is ke paaoñ 'mohsin' apnī ḳhuddārī paḌī

    ab jo dekhā donoñ nā-qābil-e-tafsīr the

    raat ke jaage huoñ par raushnī bhārī paḌī

    chāhne vāloñ ko honā paḌā hai sañgsār

    zinda rahne vāloñ par zindagī bhārī paḌī

    mere dukh ko ek pahlū lazzat thī aziiz

    ab jo karvaT to mujh pe aa ke bedārī paḌī

    vo samundar vo havā.eñ vo tazabzub aur vo aañkh

    jaan se jaane ga.e the aur gale yaarī paḌī

    āshnā hone se pahle ajnabī-pan khā gayā

    ghar se pahle rāste meñ ghar rahdārī paḌī

    in dinoñ shāyad maiñ apnī dastaras se duur huuñ

    aaj to us nazar dil par mire kaarī paḌī

    sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi

    ja ke is ke paon 'mohsin' apni KHuddari paDi

    ab jo dekha donon hi na-qabil-e-tafsir the

    raat ke jage huon par raushni bhaari paDi

    chahne walon ko hi hona paDa hai sangsar

    zinda rahne walon par hi zindagi bhaari paDi

    mere dukh ko ek hi pahlu ki lazzat thi aziz

    ab jo karwaT li to mujh pe aa ke bedari paDi

    wo samundar wo hawaen wo tazabzub aur wo aankh

    jaan se jaane gae the aur gale yari paDi

    aashna hone se pahle ajnabi-pan kha gaya

    ghar se pahle raste mein ghar ki rahdari paDi

    in dinon shayad main apni dastaras se dur hun

    aaj to us ki nazar dil par mere kari paDi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now