Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarab-e-sahra mein pani talash karta hai

Chand Akbarabadi

sarab-e-sahra mein pani talash karta hai

Chand Akbarabadi

MORE BYChand Akbarabadi

    sarāb-e-sahrā meñ paanī talāsh kartā hai

    vo daldaloñ meñ ravānī talāsh kartā hai

    har ek zarre se pahchān rab hotī hai

    vo phir bhī us nishānī talāsh kartā hai

    use yaqīn hai apne ḳhudā rahmat par

    jo tapte sahrā meñ paanī talāsh kartā hai

    kitāb-e-dil ko samajhnā muhāl hai us

    vo chehrā chehrā ma.ānī talāsh kartā hai

    na.e ġhamoñ ke añdheroñ se jañg hai us

    bujhe diyoñ javānī talāsh kartā hai

    hoñ raaja rānī, hoñ lashkar, hoñ hāthī ghoḌe sab

    vo har kahānī meñ naanī talāsh kartā hai

    bahut sharīf hai to 'chāñd' ke sansad meñ

    'kabir-das' vaanī talāsh kartā hai

    sarab-e-sahra mein pani talash karta hai

    wo daldalon mein rawani talash karta hai

    har ek zarre se pahchan rab ki hoti hai

    wo phir bhi us ki nishani talash karta hai

    use yaqin hai apne KHuda ki rahmat par

    jo tapte sahra mein pani talash karta hai

    kitab-e-dil ko samajhna muhaal hai us ka

    wo chehra chehra maani talash karta hai

    nae ghamon ke andheron se jang hai us ki

    bujhe diyon ki jawani talash karta hai

    hon raja rani, hon lashkar, hon hathi ghoDe sab

    wo har kahani mein nani talash karta hai

    bahut sharif hai to 'chand' ja ke sansad mein

    'kabir-das' ki wani talash karta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now