Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarabon se nawaza ja raha hun

Kazim Jarwali

sarabon se nawaza ja raha hun

Kazim Jarwali

MORE BYKazim Jarwali

    sarāboñ se navāzā rahā huuñ

    amīr-e-dasht bantā rahā huuñ

    mire dariyā hamesha yaad rakhnā

    tire sāhil se pyāsā rahā huuñ

    fazā.eñ sabz hotī rahī haiñ

    maiñ jitnā zahr piitā rahā huuñ

    ik aise ḳhvāb āñkhoñ ko zid hai

    tah-e-ḳhanjar bhī soyā rahā huuñ

    mire bāhar fasīl-e-āhanī hai

    magar andar se TuuTā rahā huuñ

    zamāna mujh ko samjhe na samjhe

    maiñ ik din huuñ jo guzrā rahā huuñ

    maiñ ḳhushbū huuñ ye duniyā jāntī hai

    magar phir bhī chhupāyā rahā huuñ

    tum ab thaktī huī nazreñ jhukā lo

    bulandī se maiñ utrā rahā huuñ

    kitāb-e-sañg ban jā.egā 'kāzim'

    maiñ jis paanī pe likkhā rahā huuñ

    sarabon se nawaza ja raha hun

    amir-e-dasht banta ja raha hun

    mere dariya hamesha yaad rakhna

    tere sahil se pyasa ja raha hun

    fazaen sabz hoti ja rahi hain

    main jitna zahr pita ja raha hun

    ek aise KHwab ki aankhon ko zid hai

    tah-e-KHanjar bhi soya ja raha hun

    mere bahar fasil-e-ahani hai

    magar andar se TuTa ja raha hun

    zamana mujh ko samjhe ya na samjhe

    main ek din hun jo guzra ja raha hun

    main KHushbu hun ye duniya jaanti hai

    magar phir bhi chhupaya ja raha hun

    tum ab thakti hui nazren jhuka lo

    bulandi se main utra ja raha hun

    kitab-e-sang ban jaega 'kazim'

    main jis pani pe likkha ja raha hun

    Source:

    کتاب سنگ (Pg. 25)

    • Author: کاظم جرولی
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now