Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye

Nazish Haidari

sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye

Nazish Haidari

MORE BYNazish Haidari

    sarāsar un ko gulistān-e-ārzū kahiye

    rukeñ to rañg samjhiye chaleñ to kahiye

    hamārī tishnagī-e-shauq hai baat kuchh aur

    ye vo nahīñ jise daurān-e-guftugū kahiye

    mujhe shikast ilzām bhī qubūl magar

    muqābil aa.iye barbād-e-justujū kahiye

    savāl-e-shauq aksar javāb bantī hai

    tirī nazar ḳhamoshī ko guftugū kahiye

    hamārī tishna-labī ko na kar sakī sairāb

    vo guftugū ravānī ki āb-jū kahiye

    har inqalāb lahar apne mai-kade meñ hai

    kise sharāb samajhiye kise lahū kahiye

    chaman-badosh hai har vādī-e-nazar 'nāzish'

    merī hayāt ko kashmīr-e-ārzū kahiye

    sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye

    ruken to rang samjhiye chalen to bu kahiye

    hamari tishnagi-e-shauq ki hai baat kuchh aur

    ye wo nahin jise dauran-e-guftugu kahiye

    mujhe shikast ka ilzam bhi qubul magar

    muqabil aaiye barbaad-e-justuju kahiye

    sawal-e-shauq ka aksar jawab banti hai

    teri nazar ki KHamoshi ko guftugu kahiye

    hamari tishna-labi ko na kar saki sairab

    wo guftugu ki rawani ki aab-ju kahiye

    har inqalab ki lahar apne mai-kade mein hai

    kise sharab samajhiye kise lahu kahiye

    chaman-badosh hai har wadi-e-nazar 'nazish'

    meri hayat ko kashmir-e-arzu kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now