aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarak rahi hai uski chilman masha-allah masha-allah

Barqi Azmi

sarak rahi hai uski chilman masha-allah masha-allah

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    sarak rahī hai us chilman māshā-allāh māshā-allāh

    shāyad ab vo degā darshan māshā-allāh māshā-allāh

    garaj rahā hai bādal ghan-ghan māshā-allāh māshā-allāh

    bajtī hai us paa.el jhan-jhan māshā-allāh māshā-allāh

    baras rahā hai pyaar sāvan māshā-allāh māshā-allāh

    Dol rahā hai jis se tan-man māshā-allāh māshā-allāh

    chaltā phirtā hai mai-ḳhāna jis ye chashm-e-masatāna

    us surāhī-dār hai gardan māshā-allāh māshā-allāh

    apne husn pe jaise ho shaidā dekh rahā hai jalva-e-zebā

    sāmne rakh kar apne darpan māshā-allāh māshā-allāh

    mor raqs use nahīñ bhātā apnī chaal pe hai itrātā

    naach na jaane TeḌhā āñgan māshā-allāh māshā-allāh

    ġhuncha-o-gul hai ye zabāñ par sab fidā us sarv-e-ravāñ par

    zikr hai us gulshan gulshan māshā-allāh māshā-allāh

    'barqī' hai jis dīvāna ho ke fidā misl-e-parvāna

    maar na Daale us chitvan māshā-allāh māshā-allāh

    sarak rahi hai us ki chilman masha-allah masha-allah

    shayad ab wo dega darshan masha-allah masha-allah

    garaj raha hai baadal ghan-ghan masha-allah masha-allah

    bajti hai us ki pael jhan-jhan masha-allah masha-allah

    baras raha hai pyar ka sawan masha-allah masha-allah

    Dol raha hai jis se tan-man masha-allah masha-allah

    chalta phirta hai mai-KHana jis ki ye chashm-e-masatana

    us ki surahi-dar hai gardan masha-allah masha-allah

    apne hi husn pe jaise ho shaida dekh raha hai jalwa-e-zeba

    samne rakh kar apne darpan masha-allah masha-allah

    mor ka raqs use nahin bhata apni chaal pe hai itraata

    nach na jaane TeDha aangan masha-allah masha-allah

    ghuncha-o-gul ki hai ye zaban par sab hi fida us sarw-e-rawan par

    zikr hai us ka gulshan gulshan masha-allah masha-allah

    'barqi' hai jis ka diwana ho ke fida misl-e-parwana

    mar na Dale us ki chitwan masha-allah masha-allah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now