Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

Ashk Rampuri

sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

Ashk Rampuri

MORE BYAshk Rampuri

    sard-mehrī se tirī dil jo tapāñ rakhte haiñ

    hama-tan barf haiñ aahoñ meñ dhuāñ rakhte haiñ

    sail-e-ġham aañkh ke parde meñ nihāñ rakhte haiñ

    nā-tavāñ bhī tire kyā tāb-o-tavāñ rakhte haiñ

    farsh-e-rah kis ke liye ham dil-o-jāñ rakhte haiñ

    ḳhūb-rū paañv zamīñ par kahāñ rakhte haiñ

    baat meñ baat usī hai suno tum jis

    yuuñ to kahne ko sabhī muñh meñ zabāñ rakhte haiñ

    jab se dushvār huā saañs aanā jaanā

    ham nigāhoñ meñ jahān-e-guzarāñ rakhte haiñ

    kis se be-dardī-e-ahbāb shikva kiije

    naam be-tābī-e-dil ḳhafaqāñ rakhte haiñ

    aañkh kholī hai to sayyād ke ghar kholī hai

    ham qafas par nasheman gumāñ rakhte haiñ

    phuul bhī muñh se jhaḌeñ baat bhī kāñTe rahe

    ye adā aur suḳhan-sāz kahāñ rakhte haiñ

    log rote bhī haiñ turbat meñ luTā kar ai 'ashk'

    aur siine pe bhī ik sañg-e-girāñ rakhte haiñ

    sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

    hama-tan barf hain aahon mein dhuan rakhte hain

    sail-e-gham aankh ke parde mein nihan rakhte hain

    na-tawan bhi tere kya tab-o-tawan rakhte hain

    farsh-e-rah kis ke liye hum dil-o-jaan rakhte hain

    KHub-ru panw zamin par hi kahan rakhte hain

    baat mein baat usi ki hai suno tum jis ki

    yun to kahne ko sabhi munh mein zaban rakhte hain

    jab se dushwar hua sans ka aana jaana

    hum nigahon mein jahan-e-guzaran rakhte hain

    kis se be-dardi-e-ahbab ka shikwa kije

    nam be-tabi-e-dil ka KHafaqan rakhte hain

    aankh kholi hai to sayyaad ke ghar kholi hai

    hum qafas par hi nasheman ka guman rakhte hain

    phul bhi munh se jhaDen baat bhi kanTe ki rahe

    ye ada aur suKHan-saz kahan rakhte hain

    log rote bhi hain turbat mein luTa kar ai 'ashk'

    aur sine pe bhi ek sang-e-giran rakhte hain

    Source:

    Nuqoosh Vol. No. 61-62 (Pg. E-175 B-171)

      • Edition: Jan, Feb 1957
      • Publisher: Idarah faroog Urdu, Lahore
      • Year of Publication: Jan, Feb 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now