Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sard rahon mein bhaTakti hui shamon ki tarah

Sadiya Safdar Saadi

sard rahon mein bhaTakti hui shamon ki tarah

Sadiya Safdar Saadi

MORE BYSadiya Safdar Saadi

    sard rāhoñ meñ bhaTaktī huī shāmoñ tarah

    maiñ tire saath chalī aa.ī huuñ rastoñ tarah

    bas yahī dekh ke tajdīd-e-mohabbat kar

    ro paḌā thā vo mire sāmne bachchoñ tarah

    ghar udāsī ne paḌāv hai kiyā muddat se

    ḳhvāb kamroñ meñ sajā rakkhe haiñ katboñ tarah

    bāġh-e-hijrāñ bahāroñ ke bhī sub.hān-allāh

    zaḳhm phūloñ tarah phuul haiñ zaḳhmoñ tarah

    likh rahī huuñ tire māthe pe koī 'mīr' sher

    paḌh rahī huuñ tirī āñkhoñ ko sahīfoñ tarah

    vo mujhe chhoḌ gayā hijr musalle par raat

    maiñ adā kartī rahī jis ko namāzoñ tarah

    maut se rishta mirā maañ tarah hai 'sādī'

    zindagī lagtī hai mujh ko sagī bahnoñ tarah

    sard rahon mein bhaTakti hui shamon ki tarah

    main tere sath chali aai hun raston ki tarah

    bas yahi dekh ke tajdid-e-mohabbat kar li

    ro paDa tha wo mere samne bachchon ki tarah

    ghar udasi ne paDaw hai kiya muddat se

    KHwab kamron mein saja rakkhe hain katbon ki tarah

    bagh-e-hijran ki bahaaron ke bhi subhan-allah

    zaKHm phulon ki tarah phul hain zaKHmon ki tarah

    likh rahi hun tere mathe pe koi 'mir' ka sher

    paDh rahi hun teri aankhon ko sahifon ki tarah

    wo mujhe chhoD gaya hijr musalle par raat

    main ada karti rahi jis ko namazon ki tarah

    maut se rishta mera man ki tarah hai 'sadi'

    zindagi lagti hai mujh ko sagi bahnon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now