Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarfaroshon ke chale lashkar pe lashkar dekhiye

Munawwar Lakhnavi

sarfaroshon ke chale lashkar pe lashkar dekhiye

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    sarfaroshoñ ke chale lashkar pe lashkar dekhiye

    apnī pahlī jañg-e-āzādī manzar dekhiye

    dekhiye vo hinduoñ meñ valvale bajrañg ke

    vo musalmānoñ meñ josh-e-ḳhūn-e-haidar dekhiye

    vo mahantoñ ke maThoñ meñ yudh tayyāriyāñ

    ban ga.e jogī ka.ī nirvān safdar dekhiye

    ḳhānqāhoñ ke jigar-dāroñ meñ hañgām-e-jidāl

    pās-e-qur.āñ pās-e-ta.alīm-e-payambar dekhiye

    qarya qarya kūche kūche meñ vo jañgī ma.arke

    har taraf se aag barsī jin pe vo ghar dekhiye

    sarfaroshon ke chale lashkar pe lashkar dekhiye

    apni pahli jang-e-azadi ka manzar dekhiye

    dekhiye wo hinduon mein walwale bajrang ke

    wo musalmanon mein josh-e-KHun-e-haidar dekhiye

    wo mahanton ke maThon mein yudh ki tayyariyan

    ban gae jogi kai nirwan safdar dekhiye

    KHanqahon ke jigar-daron mein hangam-e-jidal

    pas-e-quran pas-e-talim-e-payambar dekhiye

    qarya qarya kuche kuche mein wo jangi marke

    har taraf se aag barsi jin pe wo ghar dekhiye

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 136)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now