Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi

Ataul Hasan

sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi

Ataul Hasan

MORE BYAtaul Hasan

    sarshār bhī kartī hai ġhazal letī hai jaañ bhī

    ḳhushbū ke barābar se nikaltā hai dhuāñ bhī

    hotī thiiñ kabhī shaam nīñdeñ bhī mayassar

    āñkhoñ meñ guzar jaatī hai ab pahlī azaañ bhī

    pahchān faqat nām-o-nasab se nahīñ hotī

    shajre patā detī hai insāñ zabāñ bhī

    kis tarah kiyā ne mohabbat izāla

    puurā na huā mujh se to lamhoñ ziyāñ bhī

    kuchh daḳhl nahīñ merā miyāñ kār-e-junūñ meñ

    ab 'ishq pe hai mujh ko ye le jaa.e jahāñ bhī

    is duniyā meñ kar mujh se na.e jazboñ ḳhvāhish

    matrūk nahīñ chalte 'hasan' sikke yahāñ bhī

    sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi

    KHushbu ke barabar se nikalta hai dhuan bhi

    hoti thin kabhi sham ki ninden bhi mayassar

    aankhon mein guzar jati hai ab pahli azan bhi

    pahchan faqat nam-o-nasab se nahin hoti

    shajre ka pata deti hai insan ki zaban bhi

    kis tarah kiya tu ne mohabbat ka izala

    pura na hua mujh se to lamhon ka ziyan bhi

    kuchh daKHl nahin mera miyan kar-e-junun mein

    ab 'ishq pe hai mujh ko ye le jae jahan bhi

    is duniya mein kar mujh se nae jazbon ki KHwahish

    matruk nahin chalte 'hasan' sikke yahan bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now