Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka

Mirza Ghalib

sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    satā.ish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizvāñ

    vo ik guldasta hai ham be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ

    bayāñ kyā kījiye be-dād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ

    ki har yak qatra-e-ḳhūñ daana hai tasbīh-e-marjāñ

    na aa.ī satvat-e-qātil bhī maane mere nāloñ ko

    liyā dāñtoñ meñ jo tinkā huā resha niyastāñ

    dikhā.ūñgā tamāshā agar fursat zamāne ne

    mirā har dāġh-e-dil ik tuḳhm hai sarv-e-charāġhāñ

    kiyā ā.īna-ḳhāne vo naqsha tere jalve ne

    kare jo partav-e-ḳhurshīd aalam shabnamistāñ

    mirī ta.amīr meñ muzmar hai ik sūrat ḳharābī

    hayūlā barq-e-ḳhirman hai ḳhūn-e-garm dahqāñ

    ugā hai ghar meñ har sabza vīrānī tamāshā kar

    madār ab khodne par ghaas ke hai mere darbāñ

    ḳhamoshī meñ nihāñ ḳhūñ-gashta lākhoñ ārzūeñ haiñ

    charāġh-e-murdā huuñ maiñ be-zabāñ gor-e-ġharībāñ

    hanūz ik partav-e-naqsh-e-ḳhayāl-e-yār baaqī hai

    dil-e-afsurda goyā hujra hai yūsuf ke zindāñ

    baġhal meñ ġhair aaj aap sote haiñ kahīñ varna

    sabab kyā ḳhvāb meñ aa kar tabassum-hā-e-pinhāñ

    nahīñ ma.alūm kis kis lahū paanī huā hogā

    qayāmat hai sarishk-ālūda honā terī mizhgāñ

    nazar meñ hai hamārī jāda-e-rāh-e-fanā 'ġhālib'

    ki ye shīrāza hai aalam ke ajzā-e-pareshāñ

    sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka

    wo ek guldasta hai hum be-KHudon ke taq-e-nisyan ka

    bayan kya kijiye be-dad-e-kawish-ha-e-mizhgan ka

    ki har yak qatra-e-KHun dana hai tasbih-e-marjaan ka

    na aai satwat-e-qatil bhi mane mere nalon ko

    liya danton mein jo tinka hua resha niyastan ka

    dikhaunga tamasha di agar fursat zamane ne

    mera har dagh-e-dil ek tuKHm hai sarw-e-charaghan ka

    kiya aaina-KHane ka wo naqsha tere jalwe ne

    kare jo partaw-e-KHurshid aalam shabnamistan ka

    meri tamir mein muzmar hai ek surat KHarabi ki

    hayula barq-e-KHirman ka hai KHun-e-garm dahqan ka

    uga hai ghar mein har su sabza virani tamasha kar

    madar ab khodne par ghas ke hai mere darban ka

    KHamoshi mein nihan KHun-gashta lakhon aarzuen hain

    charagh-e-murda hun main be-zaban gor-e-ghariban ka

    hanuz ek partaw-e-naqsh-e-KHayal-e-yar baqi hai

    dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf ke zindan ka

    baghal mein ghair ki aaj aap sote hain kahin warna

    sabab kya KHwab mein aa kar tabassum-ha-e-pinhan ka

    nahin malum kis kis ka lahu pani hua hoga

    qayamat hai sarishk-aluda hona teri mizhgan ka

    nazar mein hai hamari jada-e-rah-e-fana 'ghaalib'

    ki ye shiraaza hai aalam ke ajza-e-pareshan ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka Nomaan Shauque

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 187)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now