Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte

Riaz Majeed

sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    sat.h-bīiñ the sab, rahe bāhar kaa.ī dekhte

    log kaise mere andar safā.ī dekhte

    us se milne nishāñ tak bhī nazar aatā nahīñ

    ek muddat ho ga.ī rāh-e-judā.ī dekhte

    ham to apnī vus.at-e-dil se bhī kosoñ duur the

    tere dil tak kis tarah apnī rasā.ī dekhte

    aap thak-hār kar apne ko behis kar liyā

    zindagī kab tak tirī be-e'tinā.ī dekhte

    yuuñ na kho jaate fazā-e-yās meñ duniyā ke saath

    kaash apnā lab-o-lahja rajā.ī dekhte

    dil majbūrī se baḌh kar koī majbūrī na thī

    ham bhī kuchh karte agar ḳhud se rihā.ī dekhte

    kaash dhartī par girā ḳhuuñ rañg le aatā 'riyāz'

    jīte-jī ham apnī fasloñ kaTā.ī dekhte

    sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte

    log kaise mere andar ki safai dekhte

    us se milne ka nishan tak bhi nazar aata nahin

    ek muddat ho gai rah-e-judai dekhte

    hum to apni wusat-e-dil se bhi koson dur the

    tere dil tak kis tarah apni rasai dekhte

    aap hi thak-haar kar apne ko behis kar liya

    zindagi kab tak teri be-e'tinai dekhte

    yun na kho jate faza-e-yas mein duniya ke sath

    kash apna hi lab-o-lahja rajai dekhte

    dil ki majburi se baDh kar koi majburi na thi

    hum bhi kuchh karte agar KHud se rihai dekhte

    kash dharti par gira KHun rang le aata 'riyaz'

    jite-ji hum apni faslon ki kaTai dekhte

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 849)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now