Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka

Syed Masood Hasan Masood

sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    saudā huā hai jis ko ruḳh-e-zulf-e-yār

    kyā ḳhauf us ko gardish-e-lail-o-nahār

    kyā pūchhte ho haal dil-e-be-qarār

    dhaḌkā lagā huā hai ġham-e-rozgār

    phir dekhiye na ek bhī va.ada vafā huā

    phir e'tibār kuchh na rahā e'tibār

    niyyat kisī mā.il-e-jaur-o-jafā to ho

    ghaT jaa.e tuul abhī sitam-e-rozgār

    ai barq-e-tūr kab thī muusā se dushmanī

    dikhlā diyā jo rang dil-e-be-qarār

    phir aagyā hai jaur shāyad unheñ ḳhayāl

    phir baḌh chalā hai zulm-o-sitam rozgār

    piirī meñ bhī shabāb bāteñ zarūr hoñ

    hāsil ho lutf kuchh to ḳhizāñ meñ bahār

    'mas.ūd' naaz unheñ hai darāzī-e-zulf par

    dekhā nahīñ hai tuul shab-e-intizār

    sauda hua hai jis ko ruKH-e-zulf-e-yar ka

    kya KHauf us ko gardish-e-lail-o-nahaar ka

    kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka

    dhaDka laga hua hai gham-e-rozgar ka

    phir dekhiye na ek bhi wada wafa hua

    phir e'tibar kuchh na raha e'tibar ka

    niyyat kisi ki mail-e-jaur-o-jafa to ho

    ghaT jae tul abhi sitam-e-rozgar ka

    ai barq-e-tur kab ki thi musa se dushmani

    dikhla diya jo rang dil-e-be-qarar ka

    phir aagya hai jaur ka shayad unhen KHayal

    phir baDh chala hai zulm-o-sitam rozgar ka

    piri mein bhi shabab ki baaten zarur hon

    hasil ho lutf kuchh to KHizan mein bahaar ka

    'masud' naz unhen hai daraazi-e-zulf par

    dekha nahin hai tul shab-e-intizar ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now