Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sauda tha bala-e-josh par raat

Momin Khan Momin

sauda tha bala-e-josh par raat

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    saudā thā balā-e-josh par raat

    bistar pe bichhā.e neshtar raat

    bigḌe the yahāñ vo aan kar raat

    be-taur banī thī jaan par raat

    ham tā-sahar aap meñ nahīñ the

    kyā jaane rahe vo kis ke ghar raat

    afsāna samajh ke so ga.e vo

    kaam aa.ī fuġhān-e-be-asar raat

    ā.īne meñ ho na mom jaadū

    sote nahīñ ab vo tā-sahar raat

    taare āñkheñ jhapak rahe the

    thā baam pe kaun jalva-gar raat

    andher paḌā zamāne meñ haa.e

    ne din ko hai mehr ne qamar raat

    is lail-o-nahār-e-ġham ne maarā

    hai roz se siyāh-tar raat

    kyā pūchho ho munkar-o-nakīr aah

    bigḌe jo vo tān-e-ġhair par raat

    ye baat baḌhī ki mar ga.e ham

    maut aa.ī thī qissa muḳhtasar raat

    is ghar meñ hai aish-e-ḳhuld 'momin'

    kyā jaane kahāñ hai din kidhar raat

    sauda tha bala-e-josh par raat

    bistar pe bichhae neshtar raat

    bigDe the yahan wo aan kar raat

    be-taur bani thi jaan par raat

    hum ta-sahar aap mein nahin the

    kya jaane rahe wo kis ke ghar raat

    afsana samajh ke so gae wo

    kaam aai fughan-e-be-asar raat

    aaine mein ho na mom jadu

    sote nahin ab wo ta-sahar raat

    tare aankhen jhapak rahe the

    tha baam pe kaun jalwa-gar raat

    andher paDa zamane mein hae

    ne din ko hai mehr ne qamar raat

    is lail-o-nahaar-e-gham ne mara

    hai roz se siyah-tar raat

    kya puchho ho munkar-o-nakir aah

    bigDe jo wo tan-e-ghair par raat

    ye baat baDhi ki mar gae hum

    maut aai thi qissa muKHtasar raat

    is ghar mein hai aish-e-KHuld 'momin'

    kya jaane kahan hai din kidhar raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now