Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal-e-dast-e-gadai pe KHatm hota hai

Ameer Imam

sawal-e-dast-e-gadai pe KHatm hota hai

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    savāl-e-dast-e-gadā.ī pe ḳhatm hotā hai

    ye shahr ḳhud se laḌā.ī pe ḳhatm hotā hai

    musāfirān-e-mohabbat ko manzileñ kab haiñ

    safar ye ābla-pā.ī pe ḳhatm hotā hai

    ḳhudā ḳhudā hai ki mahdūd ho nahīñ saktā

    ḳhudā kahāñ jo ḳhudā.ī pe ḳhatm hotā hai

    kabhī visāl pe hotā hai iḳhtitām is

    kabhī ye 'ishq judā.ī pe ḳhatm hotā hai

    mirā jahān mirī chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho kar

    kisī ke dast-e-hinā.ī pe ḳhatm hotā hai

    sadā-e-jāñ ke ta'āqub silsila ik din

    ḳhamoshiyoñ rasā.ī pe ḳhatm hotā hai

    kisī ḳhayāl se ab tak jo ik ta'alluq thā

    kuchh āñsuoñ rihā.ī pe ḳhatm hotā hai

    sawal-e-dast-e-gadai pe KHatm hota hai

    ye shahr KHud se laDai pe KHatm hota hai

    musafiran-e-mohabbat ko manzilen kab hain

    safar ye aabla-pai pe KHatm hota hai

    KHuda KHuda hai ki mahdud ho nahin sakta

    KHuda kahan jo KHudai pe KHatm hota hai

    kabhi visal pe hota hai iKHtitam is ka

    kabhi ye 'ishq judai pe KHatm hota hai

    mera jahan meri chashm-e-KHun-fishan ho kar

    kisi ke dast-e-hinai pe KHatm hota hai

    sada-e-jaan ke ta'aqub ka silsila ek din

    KHamoshiyon ki rasai pe KHatm hota hai

    kisi KHayal se ab tak jo ek ta'alluq tha

    kuchh aansuon ki rihai pe KHatm hota hai

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 69)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now