sawal-e-did pe tewri chaDhai jati hai
savāl-e-dīd pe tevrī chaḌhā.ī jaatī hai
majāl-e-dīd pe bijlī girā.ī jaatī hai
ḳhudā ba-ḳhair kare zabt-e-shauq kā anjām
naqāb merī nazar se uThā.ī jaatī hai
isī ko jalva-e-īmān-e-ishq kahte haiñ
hujūm-e-yās meñ bhī aas paa.ī jaatī hai
ab aa ga.e ho to aur ik zarā Thahar jaao
abhī abhī mirī mayyat uThā.ī jaatī hai
mire qayās ko apnī talāsh meñ kho kar
mire havās ko duniyā dikhā.ī jaatī hai
sawal-e-did pe tewri chaDhai jati hai
majal-e-did pe bijli girai jati hai
KHuda ba-KHair kare zabt-e-shauq ka anjam
naqab meri nazar se uThai jati hai
isi ko jalwa-e-iman-e-ishq kahte hain
hujum-e-yas mein bhi aas pai jati hai
ab aa gae ho to aur ek zara Thahar jao
abhi abhi meri mayyat uThai jati hai
mere qayas ko apni talash mein kho kar
mere hawas ko duniya dikhai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.