Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah

Najmi Siddiqui

saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah

Najmi Siddiqui

MORE BYNajmi Siddiqui

    sazā se bach ke ka.ī baar shātiroñ tarah

    maiñ apne sāmne aayā huuñ mujrmoñ tarah

    vo zaḳhm jin badan par nishāñ nahīñ paḌtā

    vahī to khulte haiñ sapnoñ meñ rauzanoñ tarah

    har ek moḌ pe tajdīd-e-ahd lāzim thā

    vo shaḳhs thā koī pur-pech rāstoñ tarah

    yahī ḳhayāl mujhe aa ke chīr-phāḌ gayā

    mile haiñ dost bhī yūsuf ke bhā.iyoñ tarah

    zamīn paañv tale hai na āsmāñ sar par

    paḌe haiñ ghar meñ ka.ī log be-gharoñ tarah

    gayā to kuchh na rahā mere paas jiine ko

    ġhanīm thā vo jo aayā thā dostoñ tarah

    ye aur baat ki zāhir meñ kuchh nahīñ lagte

    buland-o-bālā haiñ kuchh log parbatoñ tarah

    vo rāste jo tire saath chal ke tai hote

    lipaT ga.e mire paañv meñ dā.eroñ tarah

    palak jhapakne meñ ik umr kaT ga.ī 'najmī'

    guzar ga.e haiñ ka.ī saal sā.atoñ tarah

    saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah

    main apne samne aaya hun mujrmon ki tarah

    wo zaKHm jin ka badan par nishan nahin paDta

    wahi to khulte hain sapnon mein rauzanon ki tarah

    har ek moD pe tajdid-e-ahd lazim tha

    wo shaKHs tha koi pur-pech raston ki tarah

    yahi KHayal mujhe aa ke chir-phaD gaya

    mile hain dost bhi yusuf ke bhaiyon ki tarah

    zamin panw tale hai na aasman sar par

    paDe hain ghar mein kai log be-gharon ki tarah

    gaya to kuchh na raha mere pas jine ko

    ghanim tha wo jo aaya tha doston ki tarah

    ye aur baat ki zahir mein kuchh nahin lagte

    buland-o-baala hain kuchh log parbaton ki tarah

    wo raste jo tere sath chal ke tai hote

    lipaT gae mere panw mein daeron ki tarah

    palak jhapakne mein ek umr kaT gai 'najmi'

    guzar gae hain kai sal saaton ki tarah

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 704)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now