Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shairi ke siwa bacha kya hai

Gulnaz Khan

shairi ke siwa bacha kya hai

Gulnaz Khan

MORE BYGulnaz Khan

    shā'irī ke sivā bachā kyā hai

    sochtī huuñ ye silsila kyā hai

    zindagī to hai vāpsī safar

    aur is haath pe likhā kyā hai

    ham to sab kuchh gañvā ke baiThe haiñ

    sab jo hāsil ho phir maza kyā hai

    āzmātī hai baar baar mujhe

    zindagī mujh se ab gilā kyā hai

    dard meñ mere vo sisaktā hai

    aise hamdard davā kyā hai

    kuchh dalīleñ yahāñ nahīñ chaltīñ

    'ishq aur dā.era kyā hai

    mujh ko ujḌā huā rahne do

    kaash pūchhe koī huā kyā hai

    us bhale aadmī kyā kiije

    jo nahīñ jāntā burā kyā hai

    mai-kadoñ meñ bhī zikr ho jis

    us phir aur martaba kyā hai

    chaal sayyād terī jaan chuke

    jaal meñ tere ab bachā kyā hai

    bebasī bevafā.ī tanhā.ī

    'ishq shab meñ aur likhā kyā hai

    sha'iri ke siwa bacha kya hai

    sochti hun ye silsila kya hai

    zindagi to hai wapsi ka safar

    aur is hath pe likha kya hai

    hum to sab kuchh ganwa ke baiThe hain

    sab jo hasil ho phir maza kya hai

    aazmati hai bar bar mujhe

    zindagi mujh se ab gila kya hai

    dard mein mere wo sisakta hai

    aise hamdard ki dawa kya hai

    kuchh dalilen yahan nahin chaltin

    'ishq ka aur daera kya hai

    mujh ko ujDa hua hi rahne do

    kash puchhe koi hua kya hai

    us bhale aadmi ka kya kije

    jo nahin jaanta bura kya hai

    mai-kadon mein bhi zikr ho jis ka

    us ka phir aur martaba kya hai

    chaal sayyaad teri jaan chuke

    jal mein tere ab bacha kya hai

    bebasi bewafai tanhai

    'ishq ki shab mein aur likha kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now