Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shairi meri gham-e-ishq ki tafsir bhi hai

Masood Akhtar Jamal

shairi meri gham-e-ishq ki tafsir bhi hai

Masood Akhtar Jamal

MORE BYMasood Akhtar Jamal

    shā.irī merī ġham-e-ishq tafsīr bhī hai

    ramish-o-rañg ke lamhāt tasvīr bhī hai

    muzhda-e-amn bhī hai merī navā-e-hastī

    vaqt ke haath meñ chaltī huī shamshīr bhī hai

    saaz uThātā huuñ magar yaad rahe ahl-e-nishāt

    saaz lai meñ nihāñ soz tāsīr bhī hai

    zindagī ḳhvāb sahī ḳhvāb-e-pareshāñ sahī

    dil ye kahtā hai yahī ḳhvāb ta.abīr bhī hai

    nā-shunīda se jo ab tak mire naġhme haiñ 'jamāl'

    kuchh zamāne ḳhatā kuchh mirī taqsīr bhī hai

    shairi meri gham-e-ishq ki tafsir bhi hai

    ramish-o-rang ke lamhat ki taswir bhi hai

    muzhda-e-amn bhi hai meri nawa-e-hasti

    waqt ke hath mein chalti hui shamshir bhi hai

    saz uThata hun magar yaad rahe ahl-e-nishat

    saz ki lai mein nihan soz ki tasir bhi hai

    zindagi KHwab sahi KHwab-e-pareshan hi sahi

    dil ye kahta hai yahi KHwab ki tabir bhi hai

    na-shunida se jo ab tak mere naghme hain 'jamal'

    kuchh zamane ki KHata kuchh meri taqsir bhi hai

    Source:

    Lala-e-Shadab (Pg. 125)

    • Author: Masood Akhtar Jamal
      • Publisher: Ghulam Husain Zaidi
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now