shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun
shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
shā.iroñ ko ab qasīdoñ kā sila detā hai kaun
bas duā.eñ dete haiñ sab rupya detā hai kaun
ye chhalāvā hai koī yā bhuut terī yaad kā
raat ke pichhle pahar mujh ko sadā detā hai kaun
maan lī hai maiñ ne mannat ik valī ik piir se
dekhnā hai mujh ko beTā chāñd sā detā hai kaun
chāplūsī phaTke-bāzī se milī manzil mujhe
itnī āsānī se varna rāsta detā hai kaun
maiñ to piitā hī nahīñ huuñ hosh meñ rah kar sharāb
maiñ huuñ hairāñ ḳhvāb-e-ġhaflat meñ pilā detā hai kaun
bechte haiñ shaiḳh sāhib āyateñ qur.ān kī
qabr par ujrat baġhair ab fātiha detā hai kaun
arz kī hai ḳhvāhish-e-ahbāb par maiñ ne ġhazal
dekhiye 'vāhid' mujhe ab nāshta detā hai kaun
shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun
bas duaen dete hain sab rupya deta hai kaun
ye chhalawa hai koi ya bhut teri yaad ka
raat ke pichhle pahar mujh ko sada deta hai kaun
man li hai main ne mannat ek wali ek pir se
dekhna hai mujh ko beTa chand sa deta hai kaun
chaplusi phaTke-bazi se mili manzil mujhe
itni aasani se warna rasta deta hai kaun
main to pita hi nahin hun hosh mein rah kar sharab
main hun hairan KHwab-e-ghaflat mein pila deta hai kaun
bechte hain shaiKH sahib aayaten quran ki
qabr par ujrat baghair ab fatiha deta hai kaun
arz ki hai KHwahish-e-ahbab par main ne ghazal
dekhiye 'wahid' mujhe ab nashta deta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.