Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh

Akbar Hyderabadi

shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    shāḳh-e-buland-e-bām se ik din utar ke dekh

    ambār-e-barg-o-bār-e-ḳhizāñ meñ bikhar ke dekh

    miTTī ke sādgī meñ alag jamāl hai

    rañgoñ nik.hatoñ qabā taar karke dekh

    imkāñ vus.atoñ ke ufuq zaar khul ga.e

    par tolne lage haiñ parinde sahar ke dekh

    zulmat kashtiyoñ ko bhañvar hai ye raushnī

    dar khul rahe haiñ dānish-o-ilm-o-ḳhabar ke dekh

    kyā jaane ġham aañch partav kahāñ paḌe

    añgḌā.ī le rahe haiñ hayūle sharar ke dekh

    sañgīn hādsoñ hikāyat tavīl hai

    koh-e-girāñ baat na kar zaḳhm sar ke dekh

    apnī basāratoñ ko jasārat aañch de

    manzar isī nazar se jahān-e-digar ke dekh

    pindār-e-sar-nigūñ junūñ mo'atabar nahīñ

    bujhte hue charāġh lau tez karke dekh

    'akbar' nidā-e-shab ko navā-e-sahar samajh

    lau de rahe haiñ hausle ahl-e-nazar ke dekh

    shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh

    ambar-e-barg-o-bar-e-KHizan mein bikhar ke dekh

    miTTi ke sadgi mein alag sa jamal hai

    rangon ki nikhaton ki qaba tar karke dekh

    imkan ki wusaton ke ufuq zar khul gae

    par tolne lage hain parinde sahar ke dekh

    zulmat ki kashtiyon ko bhanwar hai ye raushni

    dar khul rahe hain danish-o-ilm-o-KHabar ke dekh

    kya jaane gham ki aanch ka partaw kahan paDe

    angDai le rahe hain hayule sharar ke dekh

    sangin hadson ki hikayat tawil hai

    koh-e-giran ki baat na kar zaKHm sar ke dekh

    apni basaraton ko jasarat ki aanch de

    manzar isi nazar se jahan-e-digar ke dekh

    pindar-e-sar-nigun ka junun mo'atabar nahin

    bujhte hue charagh ki lau tez karke dekh

    'akbar' nida-e-shab ko nawa-e-sahar samajh

    lau de rahe hain hausle ahl-e-nazar ke dekh

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 178)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now