Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya

Mohammad Azhar Shams

shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya

Mohammad Azhar Shams

MORE BYMohammad Azhar Shams

    shāḳh-e-gulshan pe thā jo Thikāna gayā

    us parinde to āb-o-dāna gayā

    āñdhiyoñ hai zad par gharauñde yahāñ

    ya.anī hamdardiyoñ zamāna gayā

    zard mausam aamad ne badlā samāñ

    sabza-e-gulsitāñ zamāna gayā

    merī hasrat ne oḌhī jo lafzī qabā

    mere ḳhāmosh lab tarāna gayā

    sham-e-bazm-e-tarab raat tanhā rahī

    koī parvāna āḳhir kyuuñ aa na gayā

    yuuñ huī shāḳh se hijrat-e-tā.irāñ

    marsiya rah gayā chahchahānā gayā

    yuuñ na kamzor rishte buniyād thī

    aate jaate yuuñ aanā jaanā gayā

    shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya

    us parinde ka to aab-o-dana gaya

    aandhiyon ki hai zad par gharaunde yahan

    yani hamdardiyon ka zamana gaya

    zard mausam ki aamad ne badla saman

    sabza-e-gulsitan ka zamana gaya

    meri hasrat ne oDhi jo lafzi qaba

    mere KHamosh lab ka tarana gaya

    sham-e-bazm-e-tarab raat tanha rahi

    koi parwana aaKHir kyun aa na gaya

    yun hui shaKH se hijrat-e-tairan

    marsiya rah gaya chahchahana gaya

    yun na kamzor rishte ki buniyaad thi

    aate jate yun hi aana jaana gaya

    Source:

    Dar Haqeeqat (Pg. 28)

    • Author: Azhar Shams
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rujhaan Publications, Allahabad
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now