Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaKH tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya

Moin Najmi

shaKH tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya

Moin Najmi

MORE BYMoin Najmi

    shāḳh tinke ko likhā sho.ale ko jhoñkā likh diyā

    maiñ ġhazal kahne lagā lekin qasīda likh diyā

    paḌhtī rahtī haiñ ḳhalāoñ ko mirī bīnā.iyāñ

    ne in aurāq par mere ḳhudā kyā likh diyā

    kis sāñseñ mere hāthoñ lakīreñ ban ga.iiñ

    kis ne mere aa.ine meñ apnā chehra likh diyā

    kis ḳhushbū se mahak uTThīñ mirī tanhā.iyāñ

    kis ne vīrāne meñ qismat tamāshā likh diyā

    maiñ jahāñ Duubā vahāñ buniyād-e-sāhil paḌ ga.ī

    āḳhirī sāñsoñ ne paanī par jazīra likh diyā

    zindagī ko uḌte lamhoñ ke kafan meñ Dhāñp kar

    sañg-e-mustaqbil pe maiñ ne apnā katba likh diyā

    yuuñ mukammal hai 'najmī' maiñ ne apnī dāstāñ

    jis jagah bhī rabt TuuTā naam us likh diyā

    shaKH tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya

    main ghazal kahne laga lekin qasida likh diya

    paDhti rahti hain KHalaon ko meri binaiyan

    tu ne in auraq par mere KHuda kya likh diya

    kis ki sansen mere hathon ki lakiren ban gain

    kis ne mere aaine mein apna chehra likh diya

    kis ki KHushbu se mahak uTThin meri tanhaiyan

    kis ne virane mein qismat ka tamasha likh diya

    main jahan Duba wahan buniyaad-e-sahil paD gai

    aaKHiri sanson ne pani par jazira likh diya

    zindagi ko uDte lamhon ke kafan mein Dhanp kar

    sang-e-mustaqbil pe main ne apna katba likh diya

    yun mukammal ki hai 'najmi' main ne apni dastan

    jis jagah bhi rabt TuTa nam us ka likh diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now