sham-dar-sham dil nahin lagta
shām-dar-shām dil nahīñ lagtā
ab sar-e-bām dil nahīñ lagtā
phir vahī rahguzar hai yaar kī or
phir vahī gaam dil nahīñ lagtā
kaam karte haiñ dil lagāne ko
ho koī kaam dil nahīñ lagtā
aaj phir niiñd meñ liyā us ne
yuuñ mirā naam dil nahīñ lagtā
nabz kyā dekhtā hai chārāgar
marz hai aam dil nahīñ lagtā
haath mat chhoḌ ai mire hamdam
dil ko bas thaam dil nahīñ lagtā
yuuñ nigāhoñ kā dosh hai saarā
us pe ilzām dil nahīñ lagtā
sham-dar-sham dil nahin lagta
ab sar-e-baam dil nahin lagta
phir wahi rahguzar hai yar ki or
phir wahi gam dil nahin lagta
kaam karte hain dil lagane ko
ho koi kaam dil nahin lagta
aaj phir nind mein liya us ne
yun mera nam dil nahin lagta
nabz kya dekhta hai chaaragar
marz hai aam dil nahin lagta
hath mat chhoD ai mere hamdam
dil ko bas tham dil nahin lagta
yun nigahon ka dosh hai sara
us pe ilzam dil nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.