Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-dilkash ka rangin saman hai

Krishn Gopal Maghmum

sham-e-dilkash ka rangin saman hai

Krishn Gopal Maghmum

MORE BYKrishn Gopal Maghmum

    shām-e-dilkash rangīñ samāñ hai

    aise meñ kyā ḳhabar kahāñ hai

    apne dil ko javāñ-sāl rakkho

    dil javāñ hai to sab kuchh javāñ hai

    jaam chhalkā diyā kyā shafaq ne

    charḳh par mai-kade gumāñ hai

    kab se khoTī huī us manzil

    kaun se moḌ par kārvāñ hai

    jazba-e-dostī ko sadā do

    dost se dost phir bad-gumāñ hai

    miT ga.iiñ jabki aqdār-e-insāñ

    kaun insān pāsbāñ hai

    ho gayā kyā bahāroñ ko yaaro

    har taraf ab ḳhizāñ ḳhizāñ hai

    chhin na jaa.e matā.a-e-mohabbat

    phir siyāsat fitna javāñ hai

    apnī rūdād-e-ulfat kaheñ kyā

    jo haqīqat thī ab dāstāñ hai

    jo ġhazal hai sirf hissa

    nazm meñ vo balāġhat kahāñ hai

    shā.erī to bahar-hāl yaaro

    zāt-o-māhaul tarjumāñ hai

    kāmyāb is meñ hote haiñ kam

    zindagī ik kaḌā imtihāñ hai

    kyā chaman hai ye 'maġhmūm' jis meñ

    ātish-e-gul ke badle dhuāñ hai

    sham-e-dilkash ka rangin saman hai

    aise mein kya KHabar tu kahan hai

    apne dil ko jawan-sal rakkho

    dil jawan hai to sab kuchh jawan hai

    jam chhalka diya kya shafaq ne

    charKH par mai-kade ka guman hai

    kab se khoTi hui us ki manzil

    kaun se moD par karwan hai

    jazba-e-dosti ko sada do

    dost se dost phir bad-guman hai

    miT gain jabki aqdar-e-insan

    kaun insan ka pasban hai

    ho gaya kya bahaaron ko yaro

    har taraf ab KHizan hi KHizan hai

    chhin na jae mataa-e-mohabbat

    phir siyasat ka fitna jawan hai

    apni rudad-e-ulfat kahen kya

    jo haqiqat thi ab dastan hai

    jo ghazal hi ka hai sirf hissa

    nazm mein wo balaghat kahan hai

    shaeri to bahar-haal yaro

    zat-o-mahaul ki tarjuman hai

    kaamyab is mein hote hain kam hi

    zindagi ek kaDa imtihan hai

    kya chaman hai ye 'maghmum' jis mein

    aatish-e-gul ke badle dhuan hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now