Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-furqat mila ye sahaara mujhe

Parkash Nath Parvez

sham-e-furqat mila ye sahaara mujhe

Parkash Nath Parvez

MORE BYParkash Nath Parvez

    shām-e-furqat milā ye sahārā mujhe

    bārhā be-kasī ne pukārā mujhe

    aa gayā haath meñ jām-e-kaif-āfrīñ

    mil gayā hijr-e-ġham kinārā mujhe

    kar gayā be-niyāz-e-ġham-e-īn-o-āñ

    un dilkash nazar ishārā mujhe

    inqalāb-e-mohabbat ye kyā ho gayā

    un ġham bhī nahīñ ab gavārā mujhe

    tere jalvoñ ko thī jab mirī justujū

    yaad hai aaj tak vo nazārā mujhe

    laakh ho zer phir bhī ġham-e-zindagī

    sau sahāroñ hai ik sahārā mujhe

    roz-afzūñ hai bechārgī ishq

    sūjhtā nahīñ koī chārā mujhe

    kah diyā un se 'parvez' sab hāl-e-dil

    ḳhāmushī de ga.ī hai sahārā mujhe

    sham-e-furqat mila ye sahaara mujhe

    barha be-kasi ne pukara mujhe

    aa gaya hath mein jam-e-kaif-afrin

    mil gaya hijr-e-gham ka kinara mujhe

    kar gaya be-niyaz-e-gham-e-in-o-an

    un ki dilkash nazar ka ishaara mujhe

    inqalab-e-mohabbat ye kya ho gaya

    un ka gham bhi nahin ab gawara mujhe

    tere jalwon ko thi jab meri justuju

    yaad hai aaj tak wo nazara mujhe

    lakh ho zer phir bhi gham-e-zindagi

    sau sahaaron ka hai ek sahaara mujhe

    roz-afzun hai bechaargi ishq ki

    sujhta hi nahin koi chaara mujhe

    kah diya un se 'parwez' sab haal-e-dil

    KHamushi de gai hai sahaara mujhe

    Source:

    Jada-o-Manzil (Pg. 14)

    • Author: Parkash Nath Parvez
      • Publisher: Parkash Nath Parvez
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now