Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-gham aankhon se aansu aastin par gir paDe

Hasrat Shadani

sham-e-gham aankhon se aansu aastin par gir paDe

Hasrat Shadani

MORE BYHasrat Shadani

    shām-e-ġham āñkhoñ se aañsū āstīñ par gir paḌe

    ki the dāman meñ kuchh motī zamīñ par gir paḌe

    ke ham bairūn-e-mai-ḳhāna zamīñ par gir paḌe

    ham ko girnā thā kahīñ aur ham kahīñ par gir paḌe

    sū-e-manzil tez-gāmī thī ki thā vahshat josh

    kyā ḳhabar ham kab baḌhe aur kab zamīñ par gir paḌe

    koī kyā jaane ki ye husn-e-ḳhirad hai ḳhirad

    un sang-e-dar samajh kar ham zamīñ par gir paḌe

    āshiyāñ tak bhī na pahuñchne the qafas se chhuT ke ham

    gir paḌe 'hasrat' kahīñ baazū kahīñ par gir paḌe

    sham-e-gham aankhon se aansu aastin par gir paDe

    ya ki the daman mein kuchh moti zamin par gir paDe

    pi ke hum bairun-e-mai-KHana zamin par gir paDe

    hum ko girna tha kahin aur hum kahin par gir paDe

    su-e-manzil tez-gami thi ki tha wahshat ka josh

    kya KHabar hum kab baDhe aur kab zamin par gir paDe

    koi kya jaane ki ye husn-e-KHirad hai ya KHirad

    un ka sang-e-dar samajh kar hum zamin par gir paDe

    aashiyan tak bhi na pahunchne the qafas se chhuT ke hum

    gir paDe 'hasrat' kahin bazu kahin par gir paDe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now