Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo

Firaq Gorakhpuri

sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

  shām-e-ġham kuchh us nigāh-e-nāz bāteñ karo

  be-ḳhudī baḌhtī chalī hai raaz bāteñ karo

  ye sukūt-e-nāz ye dil ragoñ TūTnā

  ḳhāmushī meñ kuchh shikast-e-sāz bāteñ karo

  nik.hat-e-zulf-e-pareshāñ dāstān-e-shām-e-ġham

  sub.h hone tak isī andāz bāteñ karo

  har rag-e-dil vajd meñ aatī rahe dukhtī rahe

  yūñhī us ke jā-o-bejā naaz bāteñ karo

  jau adam jaan hai jo hai payām-e-zindagī

  us sukūt-e-rāz us āvāz bāteñ karo

  ishq rusvā ho chalā be-kaif bezār

  aaj us nargas-e-ġhammaz bāteñ karo

  naam bhī lenā hai jis ik jahān-e-rañg-o-bū

  dosto us nau-bahār-e-nāz bāteñ karo

  kis liye uzr-e-taġhāful kis liye ilzām-e-ishq

  aaj charḳh-e-tafraqa-parvāz bāteñ karo

  kuchh qafas tīliyoñ se chhan rahā hai nuur

  kuchh fazā kuchh hasrat-e-parvāz bāteñ karo

  jo hayāt-e-jāvidāñ hai jo hai marg-e-nā-gahāñ

  aaj kuchh us naaz us andāz bāteñ karo

  ishq-e-be-parvā bhī ab kuchh nā-shakebā ho chalā

  shoḳhī-e-husn-e-karishma-sāz bāteñ karo

  jis furqat ne palaT ishq kaayā 'firāq'

  aaj us īsā-nafas dam-sāz bāteñ karo

  sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo

  be-KHudi baDhti chali hai raaz ki baaten karo

  ye sukut-e-naz ye dil ki ragon ka TuTna

  KHamushi mein kuchh shikast-e-saz ki baaten karo

  nikhat-e-zulf-e-pareshan dastan-e-sham-e-gham

  subh hone tak isi andaz ki baaten karo

  har rag-e-dil wajd mein aati rahe dukhti rahe

  yunhi us ke ja-o-beja naz ki baaten karo

  jau adam ki jaan hai jo hai payam-e-zindagi

  us sukut-e-raaz us aawaz ki baaten karo

  ishq ruswa ho chala be-kaif sa bezar sa

  aaj us ki nargas-e-ghammaz ki baaten karo

  nam bhi lena hai jis ka ek jahan-e-rang-o-bu

  dosto us nau-bahaar-e-naz ki baaten karo

  kis liye uzr-e-taghaful kis liye ilzam-e-ishq

  aaj charKH-e-tafraqa-parwaz ki baaten karo

  kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nur sa

  kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaz ki baaten karo

  jo hayat-e-jawidan hai jo hai marg-e-na-gahan

  aaj kuchh us naz us andaz ki baaten karo

  ishq-e-be-parwa bhi ab kuchh na-shakeba ho chala

  shoKHi-e-husn-e-karishma-saz ki baaten karo

  jis ki furqat ne palaT di ishq ki kaya 'firaq'

  aaj us isa-nafas dam-saz ki baaten karo

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Vinod Sehgal

  Vinod Sehgal

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo Nomaan Shauque

  This content features in following collection(s)

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now