sham guzri hai abhi gham ki sahar baqi hai
shaam guzrī hai abhī ġham kī sahar baaqī hai
ik safar ḳhatm huā ek safar baaqī hai
kis tarah ghar meñ kahūñ apne shikasta-ghar ko
koī dīvār salāmat hai na dar baaqī hai
zard aatā hai nazar ḳhauf-e-ḳhizāñ se vo bhī
ek pattā jo sar-e-shāḳh-e-shajar baaqī hai
ab jalā.eñ bhī dobāra to vo shāyad na jaleñ
jin charāġhoñ pe havāoñ kā asar baaqī hai
kyuuñ rahe tishna-e-ḳhūñ vo bhī hamāre hote
tere tarkash meñ koī tiir agar baaqī hai
ḳhatm hote hī maiñ aatī nahīñ rāh-e-manzil
umr-bhar chalte rahe phir bhī safar baaqī hai
dasht kī ḳhaak huā jism to kab kā 'ḳhāvar'
shahr meñ ab bhī mirā naam magar baaqī hai
sham guzri hai abhi gham ki sahar baqi hai
ek safar KHatm hua ek safar baqi hai
kis tarah ghar mein kahun apne shikasta-ghar ko
koi diwar salamat hai na dar baqi hai
zard aata hai nazar KHauf-e-KHizan se wo bhi
ek patta jo sar-e-shaKH-e-shajar baqi hai
ab jalaen bhi dobara to wo shayad na jalen
jin charaghon pe hawaon ka asar baqi hai
kyun rahe tishna-e-KHun wo bhi hamare hote
tere tarkash mein koi tir agar baqi hai
KHatm hote hi main aati nahin rah-e-manzil
umr-bhar chalte rahe phir bhi safar baqi hai
dasht ki KHak hua jism to kab ka 'KHawar'
shahr mein ab bhi mera nam magar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.