Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain

Rahat Naseem Malik

sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain

Rahat Naseem Malik

MORE BYRahat Naseem Malik

    shaam ke sho.ale se kyā sham.eñ farozāñ ho ga.iiñ

    ḳhvāb parchhā.iyāñ bhī jaise insāñ ho ga.iiñ

    dard fasleñ harī rut ko tarastī rahīñ

    ab ke shāyad be-asar āñkhoñ jhaḌiyāñ ho ga.iiñ

    vaqt reg-e-ravāñ meñ gum hue kitne sarāb

    dil ko is andhe safar par nikle sadiyāñ ho ga.iiñ

    vo nahīñ to sab ne gahrī chup chādar oḌh

    shahr hañstī guzar-gāheñ bhī vīrāñ ho ga.iiñ

    chāñd āñkhoñ meñ utar kar kuchh ajab dukh de gayā

    suunī rāteñ merī tanhā.ī pahchāñ ho ga.iiñ

    soch rau zehn ke shīshe meñ Dhalte 'nasīm'

    kitnī tasvīreñ thiiñ jo kāġhaz par uryāñ ho ga.iiñ

    sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain

    KHwab si parchhaiyan bhi jaise insan ho gain

    dard ki faslen hari rut ko tarasti hi rahin

    ab ke shayad be-asar aankhon ki jhaDiyan ho gain

    waqt ki reg-e-rawan mein gum hue kitne sarab

    dil ko is andhe safar par nikle sadiyan ho gain

    wo nahin to sab ne gahri chup ki chadar oDh li

    shahr ki hansti guzar-gahen bhi viran ho gain

    chand aankhon mein utar kar kuchh ajab dukh de gaya

    suni raaten meri tanhai ki pahchan ho gain

    soch ki rau zehn ke shishe mein Dhalte hi 'nasim'

    kitni taswiren thin jo kaghaz par uryan ho gain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now