Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham ki rakh badan par mal kar qashqa khinch sitaron se

Aziz Nabeel

sham ki rakh badan par mal kar qashqa khinch sitaron se

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    shaam raakh badan par mal kar qashqa khīñch sitāroñ se

    raat siñghāsan apnā hai kah de hijr ke māroñ se

    kuchh be-hangam āvāzeñ thiiñ kuchh saa.e se phirte the

    āñkheñ muuñd ke guzre the ham duniyā ke bāzāroñ se

    aur achānak uThte haiñ band kivāḌoñ vaale log

    chhan-chhan kar āvāz koī aatī hai dīvāroñ se

    ruuh ke vīrāñ tah-ḳhāne tak roz koī aa jaatā hai

    tanhā.ī ke mausam vaalī ḳhālī rāh-guzāroñ se

    kashtī kab Duub chukī hai lekin ab tak us pata

    dariyā dariyā pūchh rahā hai jaane kaun kināroñ se

    diye āḳhirī saañs bujhī aur aañkh uThī ākāsh samt

    kitne sar jhāñk rahe the raat nam dīvāroñ se

    sham ki rakh badan par mal kar qashqa khinch sitaron se

    raat singhasan apna hi hai kah de hijr ke maron se

    kuchh be-hangam aawazen thin kuchh sae se phirte the

    aankhen mund ke guzre the hum duniya ke bazaron se

    aur achanak ji uThte hain band kiwaDon wale log

    chhan-chhan kar aawaz si koi aati hai diwaron se

    ruh ke viran tah-KHane tak roz koi aa jata hai

    tanhai ke mausam wali KHali rah-guzaron se

    kashti kab ki Dub chuki hai lekin ab tak us ka pata

    dariya dariya puchh raha hai jaane kaun kinaron se

    diye ki aaKHiri sans bujhi aur aankh uThi aakash ki samt

    kitne hi sar jhank rahe the raat ki nam diwaron se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now