Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat

Zubair Bahadur Josh

sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat

Zubair Bahadur Josh

MORE BYZubair Bahadur Josh

    shaam ko sub.h aur sub.h ko hai shaam baat

    kaise nādāñ haiñ vo karte nahīñ kaam baat

    jab kiyā karte haiñ ham sāqī-e-gulfām baat

    lab pe aa jaatī hai aksar dil-e-nākām baat

    Dhalte sūraj ko dikhāyā to kabhī gul hayāt

    ham se is tarah se husn ke anjām baat

    nafrat-o-buġhz-o-ta.assub ke alāva tum se

    aaj tak ho na sakī koī kabhī kaam baat

    jalte shahroñ dhuāñ āñkhoñ meñ ghūmā aksar

    yaad aa.ī hai jo guzre hue ayyām baat

    jo bahāroñ latāfat ko samajhte na hoñ

    un se sayyād kare kyoñ qafas-o-dām baat

    hai zarūrat ki mohabbat sabaq deñ sab ko

    aao ham mil ke kareñ azmat-e-islām baat

    kaun jurm hai farmā.eñ zamāne vaale

    tishna-lab karte haiñ saaqī se agar jaam baat

    ranj rāhat se badalte to maza aa jaatā

    mahfil-e-aish meñ hotī ġham-o-ālām baat

    ḳhuub dozaḳh se Darātā hai gunahgāroñ ko

    lab pe vaa.iz ke nahīñ hai karam-e-ām baat

    be-dhaḌak 'josh' vo baḌhte rahe manzil taraf

    qāfile vāloñ ne sochī nahīñ anjām baat

    sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat

    kaise nadan hain wo karte hi nahin kaam ki baat

    jab kiya karte hain hum saqi-e-gulfam ki baat

    lab pe aa jati hai aksar dil-e-nakaam ki baat

    Dhalte suraj ko dikhaya to kabhi gul ki hayat

    hum se is tarah se ki husn ke anjam ki baat

    nafrat-o-bughz-o-tassub ke alawa tum se

    aaj tak ho na saki koi kabhi kaam ki baat

    jalte shahron ka dhuan aankhon mein ghuma aksar

    yaad aai hai jo guzre hue ayyam ki baat

    jo bahaaron ki latafat ko samajhte hi na hon

    un se sayyaad kare kyon qafas-o-dam ki baat

    hai zarurat ki mohabbat ka sabaq den sab ko

    aao hum mil ke karen azmat-e-islam ki baat

    kaun sa jurm hai farmaen zamane wale

    tishna-lab karte hain saqi se agar jam ki baat

    ranj rahat se badalte to maza aa jata

    mahfil-e-aish mein hoti gham-o-alam ki baat

    KHub dozaKH se Daraata hai gunahgaron ko

    lab pe waiz ke nahin hai karam-e-am ki baat

    be-dhaDak 'josh' wo baDhte rahe manzil ki taraf

    qafile walon ne sochi nahin anjam ki baat

    Source:

    Tarz-e-Sukhan (Pg. 100)

    • Author: Zubair Bahadur Josh
      • Publisher: Junaid Ali Bahadur
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now