Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya

Khushbir Singh Shaad

sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    shaam tak phir rañg ḳhvāboñ bikhar jā.egā kyā

    rā.egāñ aaj din bhī guzar jā.egā kyā

    DhūñDnā hai ghup-añdhere meñ mujhe ik shaḳhs ko

    pūchhnā sūraj zarā mujh meñ utar jā.egā kyā

    māntā huuñ ghuT rahā hai dam tirā is habs meñ

    gar yahī jiine sūrat hai to mar jā.egā kyā

    ain mumkin hai bajā hoñ tere andeshe magar

    dekh kar ab apne saa.e ko bhī Dar jā.egā kyā

    soch le parvāz se pahle zarā phir soch le

    saath le kar ye shikasta bāl-o-par jā.egā kyā

    ek hijrat jism ne ek hijrat ruuh ne

    itnā gahrā zaḳhm āsānī se bhar jā.egā kyā

    sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya

    raegan hi aaj ka din bhi guzar jaega kya

    DhunDna hai ghup-andhere mein mujhe ek shaKHs ko

    puchhna suraj zara mujh mein utar jaega kya

    manta hun ghuT raha hai dam tera is habs mein

    gar yahi jine ki surat hai to mar jaega kya

    ain mumkin hai baja hon tere andeshe magar

    dekh kar ab apne sae ko bhi Dar jaega kya

    soch le parwaz se pahle zara phir soch le

    sath le kar ye shikasta baal-o-par jaega kya

    ek hijrat jism ne ki ek hijrat ruh ne

    itna gahra zaKHm aasani se bhar jaega kya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad

    RECITATIONS

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad,

    Khushbir Singh Shaad

    sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya Khushbir Singh Shaad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now