sham to hogi sahar to hogi
shaam to hogī sahar to hogī
zindagī hai to basar to hogī
ek dam haañ nahīñ karte ḳhūbāñ
kuchh agar aur magar to hogī
laakh ūñchī sahī us kī dīvār
ye muhim bhī kabhī sar to hogī
koī rotā hai to hañste kyoñ ho
zālimo aañkh hai tar to hogī
'aib kartā huuñ hunar se ki 'shu'ūr'
kam se kam qadr-e-hunar to hogī
sham to hogi sahar to hogi
zindagi hai to basar to hogi
ek dam han nahin karte KHuban
kuchh agar aur magar to hogi
lakh unchi sahi us ki diwar
ye muhim bhi kabhi sar to hogi
koi rota hai to hanste kyon ho
zalimo aankh hai tar to hogi
'aib karta hun hunar se ki 'shu'ur'
kam se kam qadr-e-hunar to hogi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 87)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.