Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad mere badan ki ruswai chahta hai

Qateel Shifai

shayad mere badan ki ruswai chahta hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    shāyad mire badan rusvā.ī chāhtā hai

    darvāza mere ghar bīnā.ī chāhtā hai

    auqāt-e-zabt us ko ai chashm-e-tar batā de

    ye dil samundaroñ gahrā.ī chāhtā hai

    shahroñ meñ vo ghuTan hai is daur meñ ki insāñ

    gumnām jañgaloñ purvā.ī chāhtā hai

    kuchh zalzale samo kar zanjīr khanak meñ

    ik raqs-e-vālehāna saudā.ī chāhtā hai

    kuchh is liye bhī apne charche haiñ shahr bhar meñ

    ik pārsā hamārī rusvā.ī chāhtā hai

    har shaḳhs jabīñ par karte haiñ raqs taare

    har shaḳhs zindagī ra.anā.ī chāhtā hai

    ab chhoḌ saath merā ai yād-e-nau-javānī

    is umr musāfir tanhā.ī chāhtā hai

    maiñ jab 'qatīl' apnā sab kuchh luTā chukā huuñ

    ab merā pyaar mujh se dānā.ī chāhtā hai

    shayad mere badan ki ruswai chahta hai

    darwaza mere ghar ka binai chahta hai

    auqat-e-zabt us ko ai chashm-e-tar bata de

    ye dil samundaron ki gahrai chahta hai

    shahron mein wo ghuTan hai is daur mein ki insan

    gumnam jangalon ki purwai chahta hai

    kuchh zalzale samo kar zanjir ki khanak mein

    ek raqs-e-walehana saudai chahta hai

    kuchh is liye bhi apne charche hain shahr bhar mein

    ek parsa hamari ruswai chahta hai

    har shaKHs ki jabin par karte hain raqs tare

    har shaKHs zindagi ki ranai chahta hai

    ab chhoD sath mera ai yaad-e-nau-jawani

    is umr ka musafir tanhai chahta hai

    main jab 'qatil' apna sab kuchh luTa chuka hun

    ab mera pyar mujh se danai chahta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shayad mere badan ki ruswai chahta hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now