Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-be-mah bhi uski nahin kali hogi

Mannan Bijnori

shab-e-be-mah bhi uski nahin kali hogi

Mannan Bijnori

MORE BYMannan Bijnori

    shab-e-be-māh bhī us nahīñ kaalī hogī

    jis ne katran bhī tire nuur hogī

    log kahte haiñ koī tujh hasīñ aur bhī hai

    maiñ ye kahtā huuñ ki ye baat ḳhayālī hogī

    us ne bhī mujh ko yahī soch ke DhūñDā na kabhī

    maiñ ne ab tak to na.ī duniyā basā hogī

    jab sunā ek añdherā hai ghar meñ mere

    dukh se bole mirī tasvīr haTā hogī

    haiñ pashemāñ vo mo.attal tujhe kar ke ai dil

    ġham na kar phir usī mansab pe bahālī hogī

    aaTh das saal meñ 'mannān' ye ejāz-e-suḳhan

    tum ne kuchh umr-e-suḳhan apnī chhupā ho hogī

    shab-e-be-mah bhi us ki nahin kali hogi

    jis ne katran bhi tere nur ki pa li hogi

    log kahte hain koi tujh sa hasin aur bhi hai

    main ye kahta hun ki ye baat KHayali hogi

    us ne bhi mujh ko yahi soch ke DhunDa na kabhi

    main ne ab tak to nai duniya basa li hogi

    jab suna ek andhera sa hai ghar mein mere

    dukh se bole meri taswir haTa li hogi

    hain pasheman wo moattal tujhe kar ke ai dil

    gham na kar phir usi mansab pe bahaali hogi

    aaTh das sal mein 'mannan' ye ejaz-e-suKHan

    tum ne kuchh umr-e-suKHan apni chhupa li ho hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now