Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye

Khizr Abbas

shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye

Khizr Abbas

MORE BYKhizr Abbas

    shab-e-firāq ke baare meñ aur kyā kahiye

    kisī faqīr maqbūl badduā kahiye

    har ek shaḳhs hai apnī zaat meñ gum-sum

    koī batā.e kise kis mubtalā kahiye

    is e'tiqād ke sadqe na kyoñ bhalā jaa.eñ

    jo shaḳhs but bhī nahīñ hai use ḳhudā kahiye

    ajal samt sabhī log haiñ ravāñ ya.anī

    use bhī zindagī koī rāsta kahiye

    kisī aks-e-haqīqī nahīñ dikhātā hai

    is aa.ine ko bhalā kaise aa.ina kahiye

    maiñ apne taur se kartā huuñ baat dil 'ḳhizar'

    adā-e-ġhair se kyā dil mudda.ā kahiye

    shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye

    kisi faqir ki maqbul baddua kahiye

    har ek shaKHs hai apni hi zat mein gum-sum

    koi batae kise kis ka mubtala kahiye

    is e'tiqad ke sadqe na kyon bhala jaen

    jo shaKHs but bhi nahin hai use KHuda kahiye

    ajal ki samt sabhi log hain rawan yani

    use bhi zindagi ka koi rasta kahiye

    kisi ka aks-e-haqiqi nahin dikhata hai

    is aaine ko bhala kaise aaina kahiye

    main apne taur se karta hun baat dil ki 'KHizar'

    ada-e-ghair se kya dil ka muddaa kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now