shab-e-gham ke tamashe par ye ghar KHamosh rahta hai
shab-e-ġham ke tamāshe par ye ghar ḳhāmosh rahtā hai
ziyā bhī kuchh nahīñ kahtī hunar ḳhāmosh rahtā hai
zarā sā ek nukta ye samajh meñ kyoñ nahīñ aayā
ki dil par choT paḌtī hai to sar ḳhāmosh rahtā hai
husain-ibn-e-'alī tū ne karishma kar diyā kaisā
zamīn-e-karbalā kā ab safar ḳhāmosh rahtā hai
zarā sī baat hangāma sā kar detī hai duniyā meñ
sañbhal kar koī bole to zarar ḳhāmosh rahtā hai
chamakte āñsuoñ kī sub.h maiñ ne kuchh nahīñ dekhā
mire kamre meñ ḳhurshīd-e-sahar ḳhāmosh rahtā hai
yahāñ ashkoñ kī barsāteñ huā kartī haiñ roz-o-shab
mohabbat ke 'ilāqe meñ sharar ḳhāmosh rahtā hai
'shamīm' aisī bhī qurbat se batāo kyā huā hāsil
agar dīvār rotī hai to dar ḳhāmosh rahtā hai
shab-e-gham ke tamashe par ye ghar KHamosh rahta hai
ziya bhi kuchh nahin kahti hunar KHamosh rahta hai
zara sa ek nukta ye samajh mein kyon nahin aaya
ki dil par choT paDti hai to sar KHamosh rahta hai
husain-ibn-e-'ali tu ne karishma kar diya kaisa
zamin-e-karbala ka ab safar KHamosh rahta hai
zara si baat hangama sa kar deti hai duniya mein
sanbhal kar koi bole to zarar KHamosh rahta hai
chamakte aansuon ki subh main ne kuchh nahin dekha
mere kamre mein KHurshid-e-sahar KHamosh rahta hai
yahan ashkon ki barsaten hua karti hain roz-o-shab
mohabbat ke 'ilaqe mein sharar KHamosh rahta hai
'shamim' aisi bhi qurbat se batao kya hua hasil
agar diwar roti hai to dar KHamosh rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.