Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane

Inamullah Khan Yaqeen

shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    shab-e-hijrāñ vahshat ko ai bedād kyā jaane

    jo din paḌte haiñ rātoñ ko mujhe terī balā jaane

    judā ham se huā thā ek din jo apne yāroñ meñ

    ḳhabar phir kuchh na paa.ī kyā huā vaaq.e ḳhudā jaane

    na rakh ai abr sar par hamāre baar minnat

    vo bādal aur haiñ jo aag ko dil bujhā jaane

    na rakh ai dil ummīd-e-vafā in be-vafāoñ se

    ḳhudā se hai vo begāna jo but ko āshnā jaane

    junūñ ne us ke gul se bulbuloñ tak shor Daalā hai

    'yaqīñ' ho koī tab is tarah dhūmeñ machā jaane

    shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane

    jo din paDte hain raaton ko mujhe teri bala jaane

    juda hum se hua tha ek din jo apne yaron mein

    KHabar phir kuchh na pai kya hua waqe KHuda jaane

    na rakh ai abr tu sar par hamare bar minnat ka

    wo baadal aur hain jo aag ko dil ki bujha jaane

    na rakh ai dil tu ummid-e-wafa in be-wafaon se

    KHuda se hai wo begana jo but ko aashna jaane

    junun ne us ke gul se bulbulon tak shor Dala hai

    'yaqin' sa ho koi tab is tarah dhumen macha jaane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now