Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-wasl aur lab pe nafrat ki baaten

Girami Chishti

shab-e-wasl aur lab pe nafrat ki baaten

Girami Chishti

MORE BYGirami Chishti

    shab-e-vasl aur lab pe nafrat bāteñ

    mohabbat se kiije mohabbat bāteñ

    lahū sīna-e-sang se phuuT nikle

    sunā.ūñ jo ai dost ġhurbat bāteñ

    mirā dil mohabbat se ab bhar chukā hai

    na kiije meherbāñ mohabbat bāteñ

    na hamdam hai koī kisī na monis

    dikhāve hotī haiñ chāhat bāteñ

    na dushnām diije ye achchhā nahīñ hai

    sharīfoñ se kiije sharāfat bāteñ

    kudūrat har ik dil meñ ghar kar chukī hai

    har ik kar rahā hai zarūrat bāteñ

    abhī tak mujhe yaad haiñ ai 'girāmī'

    vo maḳhmūr rāteñ vo ḳhalvat bāteñ

    shab-e-wasl aur lab pe nafrat ki baaten

    mohabbat se kije mohabbat ki baaten

    lahu sina-e-sang se phuT nikle

    sunaun jo ai dost ghurbat ki baaten

    mera dil mohabbat se ab bhar chuka hai

    na kije meherban mohabbat ki baaten

    na hamdam hai koi kisi ka na monis

    dikhawe ki hoti hain chahat ki baaten

    na dushnam dije ye achchha nahin hai

    sharifon se kije sharafat ki baaten

    kudurat har ek dil mein ghar kar chuki hai

    har ek kar raha hai zarurat ki baaten

    abhi tak mujhe yaad hain ai 'girami'

    wo maKHmur raaten wo KHalwat ki baaten

    Source:

    Nuqoosh-e-Girami (Pg. 46)

    • Author: Girami Chishti
      • Publisher: Bazm-e-Girami Khandwa
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now