Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas

Nasir Amrohvi

shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas

Nasir Amrohvi

MORE BYNasir Amrohvi

    shab-e-visāl jo pahnā tire badan libās

    tamām umr na bhāyā kisī bhī tan libās

    ajiib sañg tarāshā hai dast-e-qudrat ne

    tire badan pe qayāmat hai bāñkpan libās

    hameñ hai shauq tirā maḳhmalīñ badan pahneñ

    ḳhafā hai ham se yuuñ nargis nastaran libās

    maiñ sher kahte hue bhī usī ko sochtā huuñ

    basā hai us ḳhushbū meñ fikr-o-fan libās

    maiñ us ke jism ke har zāviye ko bhāñp gayā

    pahan ke aayā thā zālim ajab chalan libās

    vo surḳh-posh zarā der ko chaman meñ gayā

    to ek lamhe meñ phīkā paḌā chaman libās

    tirī zaat to mehvar hai shā.irī mirī

    tire ḳhayāl ko detā huuñ maiñ suḳhan libās

    shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas

    tamam umr na bhaya kisi bhi tan ka libas

    ajib sang tarasha hai dast-e-qudrat ne

    tere badan pe qayamat hai bankpan ka libas

    hamein hai shauq tera maKHmalin badan pahnen

    KHafa hai hum se yun nargis ka nastaran ka libas

    main sher kahte hue bhi usi ko sochta hun

    basa hai us ki hi KHushbu mein fikr-o-fan ka libas

    main us ke jism ke har zawiye ko bhanp gaya

    pahan ke aaya tha zalim ajab chalan ka libas

    wo surKH-posh zara der ko chaman mein gaya

    to ek lamhe mein phika paDa chaman ka libas

    teri hi zat to mehwar hai shairi ka meri

    tere KHayal ko deta hun main suKHan ka libas

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now