Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab guzar kar bhi andhera kam nahin

Rahman Khawar

shab guzar kar bhi andhera kam nahin

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    shab guzar kar bhī añdherā kam nahīñ

    us zulfeñ to kahīñ barham nahīñ

    ġhair ban kar jab ga.e is bazm meñ

    ham ne dekhā ham se vo barham nahīñ

    haiñ nazar meñ uljhaneñ bhī ziist

    varna in zulfoñ meñ itne ḳham nahīñ

    pāsbān-e-gulsitāñ bante haiñ aur

    imtiyāz-e-sho.ala-o-shabnam nahīñ

    aaj bhī pyāse rahe to dekhnā

    bazm meñ saaqī nahīñ bāham nahīñ

    ham se 'ḳhāvar' laakh vo barham sahī

    bad-gumāñ ham bhī magar kuchh kam nahīñ

    shab guzar kar bhi andhera kam nahin

    us ki zulfen to kahin barham nahin

    ghair ban kar jab gae is bazm mein

    hum ne dekha hum se wo barham nahin

    hain nazar mein uljhanen bhi zist ki

    warna in zulfon mein itne KHam nahin

    pasban-e-gulsitan bante hain aur

    imtiyaz-e-shoala-o-shabnam nahin

    aaj bhi pyase rahe to dekhna

    bazm mein saqi nahin baham nahin

    hum se 'KHawar' lakh wo barham sahi

    bad-guman hum bhi magar kuchh kam nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now