shab ke KHilaf barsar-e-paikar kab hue
shab ke ḳhilāf barsar-e-paikār kab hue
ham log raushnī ke talabgār kab hue
ḳhushbū kī ghaat meñ haiñ shikārī havāoñ ke
jhoñke magar kisī se giraftār kab hue
ta.abīr kī rutoñ ne badan zard kar diye
phir bhī ye log ḳhvāb se bedār kab hue
taale lagā liye haiñ ḳhud apnī zabān par
kyā baat hai tum itne samajhdār kab hue
ye ahd apnī ruuh meñ ahd-e-firāq hai
ham matl.a-e-suḳhan pe numūdār kab hue
ḳhil.at vasūl karte hue sar uThā liyā
rusvā 'najīb' ham sar-e-darbār kab hue
shab ke KHilaf barsar-e-paikar kab hue
hum log raushni ke talabgar kab hue
KHushbu ki ghat mein hain shikari hawaon ke
jhonke magar kisi se giraftar kab hue
tabir ki ruton ne badan zard kar diye
phir bhi ye log KHwab se bedar kab hue
tale laga liye hain KHud apni zaban par
kya baat hai tum itne samajhdar kab hue
ye ahd apni ruh mein ahd-e-firaq hai
hum matla-e-suKHan pe numudar kab hue
KHilat wasul karte hue sar uTha liya
ruswa 'najib' hum sar-e-darbar kab hue
- Book : Muasir (Pg. 226)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.