Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab ki hairan kar gae mere unT

Ikram Arfi

shab ki hairan kar gae mere unT

Ikram Arfi

MORE BYIkram Arfi

    shab ki hairān kar ga.e mire uuñT

    sub.h sahrā se bhar ga.e mire uuñT

    ret mahkī to gungunāne lage

    chalte chalte Thahar ga.e mire uuñT

    jabl-e-tāriq pe dekh kar ghoḌe

    pāniyoñ meñ utar ga.e mire uuñT

    sajne vaalā thā kumbh mela

    aa.ina dekh kar ga.e mire uuñT

    ḳhushk hoñToñ se mā'zarat kar

    dil ke sahrā meñ mar ga.e mire uuñT

    ret ke is qadar shanāvar the

    naḳhl dekhe to Dar ga.e mire uuñT

    aur bhī rāste the ghar taraf

    ret par chal ke ghar ga.e mire uuñT

    ek bhī sīdhī kal nahīñ 'ikrām'

    apne ajdād par ga.e mire uuñT

    shab ki hairan kar gae mere unT

    subh sahra se bhar gae mere unT

    ret mahki to gungunane lage

    chalte chalte Thahar gae mere unT

    jabl-e-tariq pe dekh kar ghoDe

    paniyon mein utar gae mere unT

    sajne wala tha kumbh ka mela

    aaina dekh kar gae mere unT

    KHushk honTon se ma'zarat kar li

    dil ke sahra mein mar gae mere unT

    ret ke is qadar shanawar the

    naKHl dekhe to Dar gae mere unT

    aur bhi raste the ghar ki taraf

    ret par chal ke ghar gae mere unT

    ek bhi sidhi kal nahin 'ikram'

    apne ajdad par gae mere unT

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now