shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha
shab ki vo majlis-faroz-e-ḳhalvat-e-nāmūs thā
rishta-e-har-sham.a ḳhār-e-kisvat-e-fānūs thā
mash.had-e-āshiq se kosoñ tak jo ugtī hai hinā
kis qadar yā-rab halāk-e-hasrat-e-pā-bos thā
hāsil-e-ulfat na dekhā juz-shikast-e-ārzū
dil-ba-dil paivasta goyā yak lab-e-afsos thā
kyā kahūñ bīmārī-e-ġham kī farāġhat kā bayāñ
jo ki khāyā ḳhūn-e-dil be-minnat-e-kaimūs thā
but-parastī hai bahār-e-naqsh-bandī-hā-e-dahr
har sarīr-e-ḳhāma meñ yak nālā-e-nāqūs thā
tab' kī vāshud ne rang-e-yak-gulistāñ gul kiyā
ye dil-e-vābasta goyā baiza-e-tā.ūs thā
kal 'asad' ko ham ne dekhā gosha-e-ġham-ḳhāna meñ
dast-barsar sar-ba-zānū-e-dil-e-māyūs thā
shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha
rishta-e-har-shama KHar-e-kiswat-e-fanus tha
mashhad-e-ashiq se koson tak jo ugti hai hina
kis qadar ya-rab halak-e-hasrat-e-pa-bos tha
hasil-e-ulfat na dekha juz-shikast-e-arzu
dil-ba-dil paiwasta goya yak lab-e-afsos tha
kya kahun bimari-e-gham ki faraghat ka bayan
jo ki khaya KHun-e-dil be-minnat-e-kaimus tha
but-parasti hai bahaar-e-naqsh-bandi-ha-e-dahr
har sarir-e-KHama mein yak nala-e-naqus tha
tab' ki washud ne rang-e-yak-gulistan gul kiya
ye dil-e-wabasta goya baiza-e-taus tha
kal 'asad' ko hum ne dekha gosha-e-gham-KHana mein
dast-barsar sar-ba-zanu-e-dil-e-mayus tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.